Friday, 26 June 2015

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin..


Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin,
Tuu ne mujhe ko khho diya maine tujhe khoya nahin,
Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha,
Yuun laga jaise woh shab ko dair tak soyaa nahin,
Har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki haalat woh lab-e-goyaa nahin,
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat.taa hoon zindagi bhar main ne jo boyaa nahin,
Jaanta hoon ek aise shakss ko main bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi royaa nahin..

Dard aesa dil main utha..


Aaj rukhsat ho geya duniya se ek bimaar-e-gham,
Dard aesa dil main utha jaan le ker hi geya..

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main..

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main..

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main,
Magar ussay to khabar hai ke kuch nahin hoon main,
Ajeeb log hain meri talaash mei mujh ko,
Wahan pe dhoond rahe hain jahaan nahin hoon main,
Main aayinon se to maayuus laut aaya tha,
Magar kissi ne bataaya bohat haseen hoon main,
Woh zaray zaray mei maujood hai magar main bhi,
Kahin kahin hoon kahan hoon kahin nahin hoon main,
Woh ik kitaab jo mansuub tere naam se hai,
Ussi kitaab ke andar kahin kahin hoon main,
Sitaaro aao meri raah mei bikhar jaao,
Yeh mera hukm hai halaan-ke kuch nahin hoon main,
Yahin Hussain bhi guzre yahin yazeed bhi tha,
Hazaar rang mei duubi hui zameen hoon main,
Yeh buurrhi qabren tumhe kuch nahin bataayengi,
Mujhe talaash karo dosto yahin hoon main..

waahhhh waaaahhhhhhhh


:(